Rahat Indori best shayari, best shayar of an era!!


Rahat Indori was one of the most popular  Shayar and lyrics writer in India, he was born on 1st January 1950 and died due to COVID-19 on 11th August 2020. Here I am presenting Rahat Indori best shayari that are famous world wide.




Loo Bhi Chalti Thi Toh Baad-e-Shaba Kehte The,
Paanv Failaye Andheron Ko Diya Kehte The,
Unka Anjaam Tujhe Yaad Nahi Hai Shayad,
Aur Bhi Log The Jo Khud Ko Khuda Kehte The.

Ab Na Main Hun, Na Baaki Hai Zamane Mere,
Fir Bhi MashHoor Hain Shaharon Mein Fasane Mere,
Zindagi Hai Toh Naye Zakhm Bhi Lag Jayenge,
Ab Bhi Baaki Hain Kayi Dost Puraane Mere.

Haath Khali Hain Tere Shahar Se Jate Jate,
Jaan Hoti Toh Meri Jaan Lutate Jate,
Ab Toh Har Haath Ka Patthar Humein Pehchanta Hai,
Umr Gujri Hai Tere Shahar Mein Aate Jate.

Teri Har Baat Mohabbat Mein Ganwara Karke,
Dil Ke Bajaar Mein Baithe Hain Khasaara Karke,
Main Woh Dariya Hun Ke Har Boond Bhanwar Hai Jiski,
Tumne Achha Hi Kiya Hai Mujhse Kinaara Karke.

Aankhon Mein Pani Rakho Hontho Pe Chingari Rakho,
Zinda Rahna Hai Toh Tarkeebein Bahut Saari Rakho,
Ek Hi Nadi Ke Hain Yeh Do Kinare Dosto,
Dostana Zindagi Se Maut Se Yaari Rakho.

Chehron Ke Liye Aayine Kurbaan Kiye Hain,
Iss Shauk Mein Apne Bade Nuksaan Kiye Hain,
Mehfil Mein Mujhe Gaaliyan Dekar Hai Bahut Khush,
Jis Shakhs Par Maine Bade Ehsaan Kiye Hain.

Roj Taaron Ki Numaaish Mein Khalal Padta Hai,
Chand Pagal Hai Andhere Mein Nikal Padta Hai,
Roj Patthar Ki Himayat Mein Ghazal Likhte Hain,
Roj Sheeshon Se Koi Kaam Nikal Padta Hai.

Ajnabi Khwahishein Seene Mein Daba Bhi Na Sakun,
Aise Ziddi Hain Parinde Ke Uda Bhi Na Sakun,
Foonk Dalunga Kisi Roj Main Dil Ki Duniya,
Yeh Tera Khat To Nahi Ke Jala Bhi Na Sakun.

Ajeeb Log Hain Meri Talash Mein Mujhko,
Wahan Par Dhoondh Rahe Hain Jahan Nahi Hun Main,
Main Aayino Se Toh Mayoos Laut Aaya Hun,
Magar Kisi Ne Bataya Bahut Haseen Hun Main.

Bulati Hai Magar Jane Ka Nahi,

Ye Duniya Hai Idhar Jaane Ka Nahi,
Mere Bete Kisi Se Ishak Kar...
Magar Had Se Gujar Jane ka Nahi.


Use Ab Ke Wafaon Se Gujar Jaane Ki Jaldi Thi,
Magar Iss Baar Mujhko Apne Ghar Jaane Ki Jaldi Thi,
Main Aakhir Kaun Sa Mausam Tumhare Naam Kar Deta,
Yehan Har Ek Mausam Ko Gujar Jaane Ki Jaldi Thi.

Haath Khali Hain Tere Shehar Se Jaate-Jaate,
Jaan Hoti Toh Meri Jaan Lutate Jaate,
Ab Toh Har Haath Ka Pathar Humein Pehchanta Hai,
Umar Gujri Hai Tere Shehar Mein Aate Jaate.

Choo Gaya Jab Kabhi Khayal Tera,
Dil Mera Der Tak Dhadakta Raha.
Kal Tera Zikr Chid Gaya Tha Ghar Mein,
Aur Ghar Der Tak Mehekta Raha.

Zubaan Toh Khol , Nazar Toh Mila, Jawaab Toh De,
Main Kitni Bar Lutaa Hun, Mujhe Hisaa Toh De.

Log Har Mod Pe Ruk Ruk Ke Sambhalte Kyun Hain,
Itna Darte Hain To Ghar Se Nikalte Kyun Hain.

Ek Hi Nadi Ke Hain Ye Do Kinaare Doston,
Dostaana Zindagi Se Maut Se Yaari Rakho.

Maine Apni Khushk Aankhon Se Lahoo Chalka Diya,
Ik Samandar Keh Raha Tha Mujhko Paani Chahiye.

Bahut Guroor Hai Dariya Ko Apne Hone Par,
Jo Meri Pyaas Se Uljhe Toh Dhajjiyan Ud Jayein.

Aate Jate Hain Kayi Rang Mere Chehre Par,
Log Lete Hain Mazaa Zikr Tumhara Kar Ke.

Post a Comment

0 Comments